Shaam thi salooni si

April 30, 2007 at 5:36 am 1 comment

Shaam thi salooni si
Rangeen fizao ki chadar oode hui thi.

Har tarf sannata tha,
Khamoshi si chai hui thi.

Dil ne kuch kehna chaaha,
Sard hwai bhi kuch sunne ko rukh gai thi.

jubaan bebas hui,
Aur ankhe Judai ka kissa keh gai thi.

bersaane lagi woh bhi ashk,
Aur main mom ki tarah pigal gai thi.

Kuch lamha yaad aaya mujhe,
labo pe bhi halki si muskrahat thi.

ak sapno ki duniya thi,
jahan teri ruh ko meri ruh mein pana mili thi,

Ak diya jal raha tha wahan,
Loh apni betabi jata rahi thi.

hwao ne fir gungunana shuru kiya,
ak aisi raat saji thi.

raat raani ki Khusbu se mehka tha aalam,
us raat mein tere pyaar mein khub saji thi

Mausam ne khol raki thi bahe,
Us raat mein tujh sang ak sapno ki duniya buni thi,

phir ak halki si Aahat hui,
main sapno ki duniya se chod hakkikat mein aa kadi hui,

Shaam thi salooni si,
Rangeen fizaao ki chadar oode hui thi

Entry filed under: poetry.

Dil ko na jaane kyun aaj teri yaad aane lagi ~~ALWIDA~~

1 Comment Add your own

  • 1. pankaj  |  May 1, 2007 at 6:56 am

    dear hi hoe r u i hope u r gud.u r a very sweet girl& this is a gud poetry so this is for u my sweetu sirf ishaaro mein hoti mohabbat agar to in alfaazo ko khubsurati kaun deta bus patthar banke reh jata tajmahal aaj usse ishq ki itni badi pehchaan kaun deta.

    Reply

Leave a comment

Trackback this post  |  Subscribe to the comments via RSS Feed


Copy Right Reserved

Page copy protected against web site content infringement by Copyscape

MyFreeCopyright.com Registered & Protected

Blog Stats

  • 43,238 hits
April 2007
M T W T F S S
 1
2345678
9101112131415
16171819202122
23242526272829
30  

Careerjet – Find jobs

www.careerjet.co.in