Kuch tho kaho na …!!
November 2, 2009 at 8:48 am 2 comments
Eh shabnami chand , eh tandi pawan
kyun ho khamosh , kuch tho kaho na …
Jee karta hai tumse baat karti rahun
Ankho mea tere khud ko nihaarti rahun
bhula dun khudko tujhme kho kar main
Apne sapno mea tere khawab sajati rahun
Eh shabnami chand , eh tandi pawan
kyun ho khamosh , kuch tho kaho na …
Teri yea khamoshi hame tadpati hai
Teri Modhoshi hame pagal banati hai
Jiya nahi jata ab tho tumare bina
yea tandi fizaaye hame behkati hai
Eh shabnami chand , eh tandi pawan
kyun ho khamosh , kuch tho kaho na …
Jaise jaise dalta hai yea din ka pehar
Teri yaadein daud kar mujhse lipat jaati
Sunati hai teri natkat baaton ka kissa
aur chupke se raaz ban Dil mea simat jaati
Eh shabnami chand , eh tandi pawan
kyun ho khamosh , kuch tho kaho na …
!Divya!
Entry filed under: love poetry. Tags: yoindia.




1.
Sam | January 26, 2012 at 2:56 pm
Divya veri nice or ye mujhe isliy bhit accha laga kyoki meri girl friend ka nam bi divya hai.
2.
Divya | February 8, 2012 at 2:43 pm
thank you Sam,
Nice to know that ur gf name is Divya