Archive for September, 2009
Hamko Maafi de do !!

Hamse hui kataayein iss kadar
Ab tho hame tum maaf kar do !
Yuhn na rooto hamse tum sanam
eh yaar Hamko tum maafi de do !!
Kaise manaye tumko ye nahi jaante
Dard-e-dil Dil ko mere dawa de do !
Nahi karenge koi bhool ab kasam se
eh yaar Hamko tum Maafi de do !!
Nahi raha jata tumse baat kiya bina
Labo ko apne tum pyaari si hasi de do !
Maan bhi jao na ab tho eh sanam
Chahe meri galti ki tum saza de do !!
EID Mubarak Ho …!!
Chand lamho Mea Aaasmaan mea
Chand ka Sehra Sajne wala hai
Khuda Khe Dhar par fir se sabki
Dukho ko Nijaat milne wala hai
Allah Paak se milegi khusiyaan sabko
Ab sabke Rozo ka asar dikhne wala hai
apne Gunao ki maafi Maang lo khuda se
Yea paak Mahina ab Ruksat hone wala hai
kar lo sab Sehar-o-aftaar ki tayari
Falak pe sitaaro ka karwaan sajne wala hai
bikrengi Chandani Ashish ki Fuhaar fir
Aasman bhi”Ramzan ki Mubarak Baad” Dene wala hai
Divya
Kaise Inkaar Karun..!!
Lafzo kho gaye hai mere sayad
Kaise Main Haal-e-Dil byaan karun
Chuba ho jaise Teer seene mea
Kaise iss Marz ki main dawa karun
Rona chahti hun par ro nahi sakti
Uski yaad ko Kaise main Ruksat karun
Likha hai aaj bhi Unka naam Dil par
Kaise main kisi aur se pyaar karun
chala gaya tha woh mujhe bewafa keh
Kaise Main ab uss par aithbaar karun
Najane kaise asmanjas mea hun fir aaj
Na chahte hue bhi ,kaise inkaar karun
Divya
Shyaam Gun Gaun…

Krishan ji ki ak sunder pratima dekh kar mera man khud ba khud gaane laga.. basi unni chaar line ko aapke sang baatna chahti hun..
Shyaam Gun Gaaun , Main Shyaam Gun Gaaun
Shyaam Gun Gaaun , Main Shyaam Gun Gaaun
Sabka Mann Mohe, Shyaam Maakhan Churaaye (2)
Mann Mann Muskaaye (2), Shyaam Basoori Bajaaye(2)
Aisi Dun Bajaaye Shyaam, har dil ko Lubaaye
Basoori sun k Mann Dauda Chala jaaye
Mann Dauda chala jaaye ….(2)
Shyaam Gun Gaaun , Main Shyaam Gun Gaaun
Shyaam Gun Gaaun , Main Shyaam Gun Gaaun
Divya
Woh Pehli Mulakaat ….
Woh pehli Mulakaat, Woh Hoonto pe Muskarahat
Badne lagi thi jab dhadkane apne raftaar mea
Aaye the jab woh ban tan ke ,Gullab liye haath mea
Khone lagi dekh kar unne , main apne aap mea
Betein the jab Hum dono liye haath pe haath
Hone laga tha Dil mea hamare ak ajeeb sa ehsaas
Chup the dono ke Lab, nazre kar rahi thi baat
Jab japakti thi palke hamari, Mukarate the ehsaas
kuch kehna chah raha tha Dil ak dujhe ka
Par maano lafz kahin kho gaye the chup chap
Behkane lagi thi saansein, Badne lagi thi aas
Sajane lage hum fir Ankhon hi Ankhom mea khwaab
Kehne ki koshish mea har baar lab muskarane lage
door beite the , dheere dheere paas aane lage
Chu kar guzar rahi thi hawaye bhi iss kadar hame
Ki bin kahe hi hum ak dujhe mea samaane lage
Woh mulakaat aaj bhi zehan mea basi hai mere
Pyaar mea doob main pyaar mea khilkhilte thi
Shaam hone se pehle hi, Fizaaye pukaarti thi
aur chandi Saugaat ban Phoolo ka Shamyana jalati thi
Divya




Comments